Sachchai Chhup Nahin Sakti Lyrics

Kishore Kumar

Ho-ho, sachchai chhup nahin sakti banavat ke usoolon se
Ke khushboo aa nahin sakti kabhi kagaz ke phoolon se

Main intezar karun, yeh dil nisaar karun
Main tujhse pyaar karun

Ho, magar kaise aitbaar karun? Jhootha hai tera waada
Waada, tera waada, waada, tera waada
Waada, tera waada, waada, tera waada

Waade pe tere maara gaya banda main seedha-sadha
Waada, tera waada, waada, tera waada
Waada, tera waada, waada, tera waada

Tumhari zulf hai ya sadak ka mod hai yeh?
Tumhari aankh hai ya nashe ka tod hai yeh?
Kaha kab kya kisi se, tumhe kuch yaad nahin
Humare saamne hai, humare baad nahin

Kitaab-e-husn mein to wafaa ka naam nahin
Are, mohabbat tum karogi? Tumhara kaam nahin
Mohabbat tum karogi? Tumhara kaam nahin

Akadti khoob ho tum, meri mehboob ho tum
Akadti khoob ho tum, meri mehboob ho tum
Nigaah-e-ghair se bhi, magar mansoob ho tum

Kisi shayar se poochho, ghazal ho ya rubayi
Bhari hai shayari mein tumhari bewafayi

Ho, daaman mein tere phool hain kam, aur kaante hain zyada
Waada, tera waada, waada, tera waada
Waade pe tere maara gaya banda main seedha-sadha
Waada, tera waada, waada, tera waada

Tarane jaanti hai, fasane jaanti hai
Kai dil todne ke bahane jaanti hai
Kahin pe soz hai tu, kahin pe saaz hai tu
Jise samjha na koi wahi ek raaz hai tu

Kabhi tu rooth baithi, kabhi tu muskuraayi
Are, kisi se ki mohabbat, kisi se bewafayi
Kisi se ki mohabbat, kisi se bewafayi

Udaye hosh tauba, teri aankhein sharaabi
Udaye hosh tauba, teri aankhein sharaabi
Zamane mein hui hai inhi se har kharaabi

Bulaye chhaon koi, pukare dhoop koi
Tera ho rang koi, tera ho roop koi

Ho, Kuch farq nahin, naam tera Raziya ho ya Radha
Waada, tera waada, waada, tera waada
Waade pe tere maara gaya banda main seedha-sadha
Waada, tera waada, waada, tera waada

Powered by musixmatch

Popular Kishore Kumar Lyrics